Shyam Tumhare Khate Mein, Naam Hamara Likh Lena,
Charan Chaakari De Dena, Apni Sharan Main Le Lena,
Shyam Tumhare Khate Mein, Naam Hamara Likh Lena,
Mere Shyam Mere Shyam (Shri Khatu Shyam Baba)
Na Jane Seva Aur Pooja, Na Bhakti Na Bhav Prabhu,
Teri Hi Kirpa Se Humko, Tumse Hua Hai Lagav Prabhu,
Dhanyavaad Tumhe Kiya Yaad Humein, Fariyad Ye Meri Sun Lena,
Shyam Tumhare Khate Mein, Naam Hamara Likh Lena,
Mere Shyam Mere Shyam (Shri Lakhdataar Baba)
Jaane Wo Kaise Log The Jinko Charanon Mein Sthan Mila,
Kaise Kaise Bhagat The Jinse, Khud Aakar Ke Shri Shyam Mila,
Maan Mein Hai Lalak, Dikhlake Jhalak,
Ek Baar Humein Darshan Dena,
Shyam Tumhare Khate Mein, Naam Hamara Likh Lena,
Mere Shyam Mere Shyam (Shri Lakhdataar Baba)
Tum Par Zor Nahin Koi Mera, Hum Par Zor Tumhara Hai,
Jeevan Dori Haath Hai Tere, Tu Hi Nachawan Wala Hai,
Karo Aisi Mehr, Japu Aathon Pehar,
Shri Shyam Daya Bas Kar Dena,
Shyam Tumhare Khate Mein, Naam Hamara Likh Lena,
Mere Shyam Mere Shyam (Shri Lakhdataar Baba)
Binnu Ne Arzi Ye Likh Di, Is Par Shyam Vichar Karo,
Hum Sab Gun Gaayein Prabhu Tera, Humko Na Inkaar Karo,
Dataar Hai Tu Diladaar Hai Tu, Sweekar Ye Vinati Kar Lena,
Shyam Tumhare Khate Mein, Naam Hamara Likh Lena,
Mere Shyam Mere Shyam (Shri Lakhdataar Baba)