Darshan Karne Aaye, Darshan Karke Jaayenge,
Shyam Ke Darbaar, Se Jhooli Bhar Kar Jaayenge,

Bahut Dino Se Thi Abhilasha,
Shyam Ka Darshan Paane Ki,
Aaj Hui Hai Poori Aasha,
Shyam Se Nain Ko Milaane Ki,
Aankhon Aankhon Mein Baatein,
Kuch Karke Jaayenge,
Shyam Ke Darbaar,
Se Jhooli Bhar Kar Jaayenge,
O Shyam Ke Darbaar,
Se Jhooli Bhar Kar Jaayenge,
Darshan Karne Aaye, Darshan Karke Jaayenge,
Shyam Ke Darbaar, Se Jhooli Bhar Kar Jaayenge,
Fikar Tumhe Hai Hum Bachchon Ki,
Jo Doge Le Lenge Hum,
Jis Raaste Ki Raah Dikhaao,
Is Raaste Chal Denge Hum,
Chalte Chalte Teri,
Jai Jai Kaar Lagayenge,
Shyam Ke Darbaar,
Se Jhooli Bhar Kar Jaayenge,
Darshan Karne Aaye, Darshan Karke Jaayenge,
Shyam Ke Darbaar, Se Jhooli Bhar Kar Jaayenge,
Jab Jab Teri Yaad Sataaye,
Aakar Darshan De Dena,
Har Gyaras Par Humko Baba,
Khaatu Dhaam Bula Lena,
Teri Nagri Mein Aakar,
Hum Mauj Udaayenge,
Shyam Ke Darbaar,
Se Jhooli Bhar Kar Jaayenge,
Darshan Karne Aaye, Darshan Karke Jaayenge,
Shyam Ke Darbaar, Se Jhooli Bhar Kar Jaayenge,
Shyam Tera Parivaar Bada Hai,
Tujh Par Sabka Dera Hai,
Binnu Kahta Dhanya Dhanya Prabhu,
Bahut Bada Dil Tera Hai,
Dooja Koi Aur Nahi Jag Mein,
Tujhsa Paayenge,
Shyam Ke Darbaar,
Se Jhooli Bhar Kar Jaayenge,
Darshan Karne Aaye, Darshan Karke Jaayenge,
Shyam Ke Darbaar, Se Jhooli Bhar Kar Jaayenge,
Darshan Karne Aaye, Darshan Karke Jaayenge,
Shyam Ke Darbaar, Se Jhooli Bhar Kar Jaayenge.