Nain Se Nain Ab To Milao,
Kab Tak Humse Bachate Rahoge,
Hum Chura Lenge Dil Ko Tumhare,
Hum Chura Lenge Dil Ko Tumhare,
Kab Tak Peeche Hatte Rahoge,
Nain Se Nain Ab To Milao,
Kab Tak Humse Bachate Rahoge,
Kaale Nainon Ke Jaadu Se Tumne,
Jaane Kitno Ka Sukh Chain Liya Lootaa,
Aaj Baari Tumhari Hai Kab Tak,
Band Palkon Ko Karke Rahoge,
Nain Se Nain Ab To Milao,
Kab Tak Humse Bachate Rahoge,
Ek Dafa Dekho Naina Milaakar,
Nainon Mein Rakh Lenge Yoon Chhupakar,
Bhakton Se Milne Ke Vaaste Bhi,
Saawre Tum Tarsate Rahoge,
Nain Se Nain Ab To Milao,
Kab Tak Humse Bachate Rahoge,
Maana Laakhon Hi Tumhare Hai Aashiq,
Hum Sa Aashiq Na Par Dekha Hoga,
Tum Bhi Zid Pe To Hum Bhi Hai Zid Par,
Aaj Bolo Kya Karke Rahoge,
Nain Se Nain Ab To Milao,
Kab Tak Humse Bachate Rahoge,
Tere Mandir Ab Samne Hi,
Aaj Sharma Ne Dera Hai Lagaya,
Pat Kabhi To Khulenge Kya Yoon Hi,
Shaam Andar Hi Sajte Rahoge,
Nain Se Nain Ab To Milao,
Kab Tak Humse Bachate Rahoge,
Nain Se Nain Ab To Milao,
Kab Tak Humse Bachate Rahoge,
Hum Chura Lenge Dil Ko Tumhare,
Hum Chura Lenge Dil Ko Tumhare,
Kab Tak Peeche Hatte Rahoge,
Nain Se Nain Ab To Milao,
Kab Tak Humse Bachate Rahoge,