Saawre tumne kaisa, ye jaadu kiya,
Hum tere ho gaye, ek mulaakat mein,
Apna deewana, mujhko bana hi liya,
Le liya dil mera, baaton hi baat mein,
Saawre tumne kaisa, ye jaadu kiya.
Saare bhakton ki hai, bheed darbaar mein,
Haath phailaye hum, Shyam ke saamne,
Keh rahe hain sabhi, aapke pyaar mein,
Aao aao zara, ae mere Saanwara,
Saawre tumne kaisa, ye jaadu kiya.
Chhavi nirali teri, aur gazab ki adaa,
In adaaon pe saara, jahan hai fida,
Kitne aashiq huye, is adaa pe teri,
Sab fida ho gaye, is karishmat mein,
Saawre tumne kaisa, ye jaadu kiya.
Saawre tumne kaisa, ye jaadu kiya,
Hum tere ho gaye, ek mulaakat mein,
Apna deewana, mujhko bana hi liya,
Le liya dil mera, baaton hi baat mein,
Saawre tumne kaisa, ye jaadu kiya.