Yahan Kis Ko Kahe Apna,
Sabhi Kehne Ko Apne Hain,
Jab Parakha Zaroorat Pe,
Laga Apne Bas Sapne Hain.
Jinhon Apna Samajhkar,
Sab Kuch Apna Khoya,
Is Jeevan Mein Unki Wajah Se,
Bas Roya Hi Roya.
Apnon Ke Bharose Pe,
Sirf Arma Hi Machalne Hain,
Jab Parakha Zaroorat Pe,
Laga Apne Bas Sapne Hain,
Yahan Kis Ko Kahe Apna,
Sabhi Kehne Ko Apne Hain.
Arth Bina Koi Arth Nahin Hai,
Arth Anarth Karata,
Arth Ki Niyati Hai Bhai Se,
Bhai Ko Ladvaata.
Thode Se Swarth Mein,
To Nij Mein Bair Panapta Hai,
Jab Parakha Zaroorat Pe,
Laga Apne Bas Sapne Hain,
Yahan Kis Ko Kahe Apna,
Sabhi Kehne Ko Apne Hain.
Shyam Hi Naiya, Shyam Khiviya,
Shyam Hi Palanahaar,
Jiski Naiya Shyam Bharose,
Milta Use Kinara.
Sanju Aajamakar Dekh,
Sirf Baba Hi Apne Hain,
Jab Parakha Zaroorat Pe,
Laga Apne Bas Sapne Hain,
Yahan Kis Ko Kahe Apna,
Sabhi Kehne Ko Apne Hain.
Yahan Kis Ko Kahe Apna,
Sabhi Kehne Ko Apne Hain,
Jab Parakha Zaroorat Pe,
Laga Apne Bas Sapne Hain,
Yahan Kis Ko Kahe Apna,
Sabhi Kehne Ko Apne Hain.