"Is duniya ne mujhe jab thukraya,
Mere Shyam main sharan teri aaya.
Jab na dikha mujhe koi sahara,
Tu hi nazar bas mujhe aaya,
Uljha hua tha main to kab se,
Prabhu tune suljhaya,
Is jag mein jab hua main paraya,
Mere Shyam main sharan teri aaya.
Tu hai sahara Shyam hamara,
Haare huo ka tu hi to hai,
Naam tera main jab bhi pukara,
Tune diya badhke sahara,
Khud ko jab akela maine paya,
Mere Shyam main sharan teri aaya.
Naam tumhara jeevan adhara,
Shyam naam mujhe pranon se pyara,
Har pal rakhta dhyan hamara,
Tu saath jiske vo na haara,
Tere dar pe hi to sab kuch maine paya,
Mere Shyam main sharan teri aaya.
Is duniya ne mujhe jab thukraya,
Mere Shyam main sharan teri aaya."