Agar Shyam Sundar Ka Sahara Na Hota,
To Duniya Mein Koi Hamara Na Hota।।
Jabse Mili Hai Daya Hamko Inki,
To Raahen Badal Di Meri Zindagi Ki,
Nazaare Karam Ka Ishara Na Hota,
To Duniya Mein Koi Hamara Na Hota।
Inhi Ke Sahara Jeeye Ja Rahe Hai,
Naam Ka Amrit Piye Ja Rahe Hain,
Mera Bigda Jeevan Sanwara Na Hota,
To Duniya Mein Koi Hamara Na Hota।
Koi Nahin Tha Duniya Mein Apna,
Kanhaiya Se Milna Lagta Hai Sapna,
Kanhaiya Ne Hamko Jo Pukara Na Hota,
To Duniya Mein Koi Hamara Na Hota।
Bhavar Mein Thi Naiya, Diya Hai Kinara,
Inhi Ki Kripa Se Chale Hai Guzara,
Kripa Bhari Drishti Se Nihaara Na Hota,
To Duniya Mein Koi Hamara Na Hota।
Agar Shyam Sundar Ka Sahara Na Hota,
To Duniya Mein Koi Hamara Na Hota।