Tere Sir Par Sitaram,
Fikar Fir Kya Karna,
Tere Sir Par Sitaram,
Fikar Fir Kya Karna.
Tere Bigde Banenge Kaam,
Fikar Fir Kya Karna,
Tere Bigde Banenge Kaam,
Fikar Fir Kya Karna,
Kya Karna Kya Karna,
Fikar Fir Kya Karna,
Kya Karna Kya Karna,
Fikar Fir Kya Karna.
Pitu Raghuwar Shri Janaki Maiya,
Phir Kyun Ho Pareshan O Bhaiya,
Pitu Raghuwar Shri Janaki Maiya,
Phir Kyun Ho Pareshan O Bhaiya,
Tere Katenge Kasht Tamaam,
Fikar Fir Kya Karna,
Tere Katenge Kasht Tamaam,
Fikar Fir Kya Karna.
Jo Jan Ramkatha Satsangi,
Unke Sahyogi Shri Bajrangi,
Jo Jan Ramkatha Satsangi,
Unke Sahyogi Shri Bajrangi,
Atulit Bal Ke Dham,
Fikar Fir Kya Karna,
Atulit Bal Ke Dham,
Fikar Fir Kya Karna.
Agar Prabhu Manmaani Kareinge,
Nahi Sharanagat Peed Harenge,
Agar Prabhu Manmaani Kareinge,
Nahi Sharanagat Peed Harenge,
Hoga Virad Badnaam,
Fikar Fir Kya Karna,
Hoga Virad Badnaam,
Fikar Fir Kya Karna.
Ab Rajesh Na Aah Bharo Tum,
Nahi Vyarth Parwah Karo Tum,
Ab Rajesh Na Aah Bharo Tum,
Nahi Vyarth Parwah Karo Tum,
Rato Ram Ji Ka Naam,
Fikar Fir Kya Karna,
Rato Ram Ji Ka Naam,
Fikar Fir Kya Karna,
Kya Karna Kya Karna,
Fikar Fir Kya Karna,
Kya Karna Kya Karna,
Fikar Fir Kya Karna.