Baba Teri Nagari Nirali,
Jo Jaate, Manate Hain Diwali।।
Dar Se Koi Lauta Na Khali,
Jo Jaate, Manate Hain Diwali।।
Ringas Se Khatu Ko Paidal Hain Jaate,
Raste Mein Shyam Shyam Ke Gun Hain Gaate,
Line Se Jaakar Hain Nazare Milaate,
Ek Pal Mein Apni Sudhbudh Bisraate,
Kripa Ki Nazar Jispe Daali,
Jo Jaate, Manate Hain Diwali।।
Teenban Dhaari Hai Leele Sawaari,
Haare Ka Saathi Ye Krishna Murari,
Jadu Chala Kar Ke Apna Banaaye,
Bin Maange Bhakton Ki Jholi Bhar Jaye,
Karta Hai Ye Sabki Rakhwali,
Jo Jaate, Manate Hain Diwali।।
Chaukhat Pe Aake Main Sheesh Jhukaati,
Bhajan Sunaakar Ke Tujhko Rijhaati,
Radha Ko Apne Dar Pe Bula Lo,
Asuvan Ki Dhaara Main Bhent Chadhaati,
Sabne Apni Bigadi Banaali,
Jo Jaate, Manate Hain Diwali।।
Baba Teri Nagari Nirali,
Jo Jaate, Manate Hain Diwali।।
Dar Se Koi Lauta Na Khali,
Jo Jaate, Manate Hain Diwali।।