Meri Khushiyon Ka Raha Na Thikana,
Main Toh Jhoom Jhoom Gaau Ye Tarana,
Ke Aaya Bada Shubh Din Hai,
Sab Milkar Dhol Bajao,
Ke Shyam Ka Janamdin Hai,
Khatuwale Ka Janamdin Hai,
Mere Baba Ka Janamdin Hai,
Khatuwale Ka Janamdin Hai.
Koi Meva Mishri,
Koi Chhappan Bhog Le Aaya Hai,
Jaisi Jiski Shraddha,
Usne Waisa Bhog Banaya Hai,
Mishtaan Toh Bas Hai Bahana,
Ise Meethe Meethe Bhajan Sunana,
Ke Aaya Bada Shubh Din Hai.
Bharat Ke Kone-Kone Se,
Aaye Kitne Baage Hain,
Phoolon Ke Shringar Mein,
Tu Pyara Kitna Lage Hai,
Ye Shringar Toh Bas Hai Bahana,
Bhavon Se Inko Sajana,
Ke Aaya Bada Shubh Din Hai.
Koi Mere Sanware Ki,
Nazar Utaro Ji,
Koi Thuthkara Daaro,
Loon Raai Vaaro Ji,
Raaj Nirakh Raha Hai Zamana,
Dekho Aur Banao Ji Deewana,
Ke Aaya Bada Shubh Din Hai.